Friday, August 19, 2011

Woh raat saheli meri

Sau baras guzre raat hue
Sau baras guzre din hue
Sau baras guzre chaand dikhe
Sau baras guzre bin jiye

Kyun pal theharta hai yeh
Kyun waqt badalta nahin hai
Yeh raah sooni hai kyun
Kyun koi nikalta nahin hai


Sau baras guzre saans liye
Sau baras guzre bin jiye

Palkein hai khwaabon se khaali
Dil hai ke bandh koi ghar
Kabhi rang thay nainon mein
Kabhi dil ko lagte thay par

Woh raat saheli meri
Sab taare chura le gayi hai
Woh dil jo tha mera
Ab woh bhi mera nahin hai


Hai khafa mujhse yaar mere
Kya pataa kab yeh phir mile

Hum toh charaghon se jalke
Baithe hain umeed mein
Kya jaane yeh kis ka
Rahe intezaar hume
Koi chu le mujhe
Kyun aakhir yeh lagta hai dil ko
Saansein bandh hai toh kya
Ab bhi dhadakta hai dil toh
Yeh tadap koi naa sune
Naa samaj yunhi dil hai yeh
Sau baras guzre raat hue
Sau baras guzre din hue



Sau Baras

No comments:

Post a Comment